歌词
@migu music@
Dost Hairan Na Ho - Ustad Ahmed Hussain
Written by:Jayant Aryan/Vishuraj
Dost hairaan na ho
Zindagi me to ye hota hi raha hai aksar
Dost hairaan na ho
Zindagi me to ye hota hi raha hai aksar
Dost hairaan na ho
Jisko chacha tha tera ho na saka to kya gam
Apni naqaam muhabbat pe pashemaan na ho
Jo maza ishq ka khoney me hai paane me nahi
Tum jo thukraye gaye ho to pasheman na ho
Dost hairaan na ho
Ek rangeen si duniya ke mehekte huy khawaab
Tumne dekhe they tarashey they muhabbat me kabhi
Aaj sab talkh haqeeqat me kahin doob gaye
Kyunki har daur me is khail ka anjaam yahi
Dost hairaan na ho
Chand lamhon ke liye hota hai gam ka aehsaas
Aisa lagta hai ki jo rishtey they sab toot gaye
Zindagi me ye zeher roz kai peetey hain
Waqt ke saath kai log they jo chooth gaye
Dost hairaan na ho
Kis ne paayi hai
Dhala dard e gham e dil se najaat
Sabr ka jaam to peena hi padega aye dost
Muskuratey huy har zakhm ko sehna hoga
Tumko har haal me jeena hi padega aye dost
Dost hairaan na ho
Zindagi me to ye hota hi raha hai aksar
Dost hairaan na ho
展开