Ek Sher Tha Ek Sherni(电影《拉珠大叔》插曲)

作词:Alpo Pellinen

作曲:Lalit Pandit,Jatin Pandit

所属专辑:《拉珠大叔》电影原声

歌词

@migu music@

Ek Sher Tha Ek Sherni (《Raju Chacha》电影插曲) - Jatin-Lalit/Shankar Mahadevan/Shweta Pandit/Ishwari

Written by:Jatin Pandit/Lalit Pandit/Anand Bakshi

Ek sher tha ek sherni unke the teen bachche

Tum jaise vo shaitan the lekin

Lekin lekin kya papa

Lagte the sabko achhe

Chhoti si ik gufa ke andar chhota sa ik ghar tha

Unke jivan me na koi dukh na koi dar tha

Maa ke ladle the vo baap ko jaan se bhi pyare

Hanste gate mauj udate mil ke rahte the sare

Kya hua papa bolo na

Honi ne jaal bichaya vaha ek shikari aaya

Vo sherni samne aai usne banduk chalayi

Vo sherni ghayal ho gai chillai tadpi so gayi

Usne phir aankh na kholi seene me lagi thi goli

Lekin vo marte marte ye kah gayi chalte chalte

Mere sathi mere sajna in bachho ko pyar se rakhna

Tum baap ho bhul na jana maa ka bhi farz nibhana

He bap bhala kya jane maa kya hoti hai

Bachho ke sang kaise hansati kaise roti hai

Usane bhi yun hansana rona seekh liya

Bachcho ke sang jagna sona seekh liya

Samay ruka phir dhire dhire chalne laga

Man ka ghav dhire dhire bharne laga

Baap ki ungli tham ke bachche chalne lage

Maa ke badle baap ki god me palne lage

Sal mahine mausam aane jane lage

Sher ke bachche phir se hansne

Gane lage baki kahani kal chalo bachho abhi so jao

Oh nahi papa nahi papa please

Abhi sunao na papa please abhi abhi

Achha baba to suno

O rahul o rohit o rani suno aage ab ye kahani

Pada unpe phir gam ka saya vaha ek babbar sher aaya

Vo gurraya chinghada aise ke kha jayega sabko jaise

Vo bachhe to bas dar ke bhage magar aa gaya baap aage

Shuru ho gaya ek dangal laga kapne sara jungle

Darakto pe ja baithe bandar chhupe saap bhi bil ke andar

Kahi ud gaye sab kabutar chadhe bhalu parbat ke upar

Lage bhagne dar ke hathi na tha sher ka koi sathi

Hui khub jam ke ladai babbar ne bahut maar khayi

To bachcho ne tali bajai

展开