歌词
@migu music@
Safar (旅游) (From "Jab Harry Met Sejal") - Pritam/Arijit Singh
Written by:Pritam Chakraborty/Irshad Kamil
Ab na mujhko yaad beeta
Main toh lamhon mein jeeta
Chala ja raha hoon
Main kahaan pe ja raha hoon
Kahaan hoon
Iss yaqeen se main yahan hoon
Ki zamana yeh bhala hai
Aur jo raah mein mila hai
Thodi door jo chala hai
Woh bhi aadmi bhala tha
Pata tha
Zara bas khafa tha
Woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi
Woh rasta puraana jisey yaad aana
Zaroori tha lekin jo roya mere bin
Wo ek mera ghar tha
Puraana sa darr tha
Magar ab na main apne ghar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Main raha o o
Main raha wo o
Main raha
Meel pattharon se meri dosti hai
Chaal meri kya hai raah jaanti hai
Jaane rozana zamana wohi rozana
Shehar shehar fursaton ko bechta hoon
Khaali haath jaata khaali lautta hoon
Aise rozana rozana khud se begana
Jabse gaanv se main shehar hua
Itna kadva ho gaya ki zehar hua
Main toh rozana
Na chaaha tha yeh ho jaana maine
Ye umrr waqt raasta guzarta raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Main raha oo
Main raha wo
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
Main raha
展开