Kachche Rang (From Alfaaz)

作词:Gulzar

作曲:Vishal Bhardwaj

所属专辑:Solitaire Gulzar

歌词

歌曲名 Kachche Rang

歌手名 Gulzar/K.S. Chithra

作词:Gulzar

作曲:Vishal Bhardwaj

Kachche rang utar jaane do

Mausam hai guzar jaane do

Woh kab tak intezar karti

Kohre mein khada hua

Pul to nazar aa raha tha

Lekin uske sire nazar nahin aate the

Kabhi lagta uske donon sire ek hi taraf hain

Aur kabhi lagta is pul ka koi sira nahin hai

Shaam bujh rahi thi aur aanewale

Ki koi aahat nahin thi kahin

Neeche behta dariya keh raha tha

Aao mere aaghosh mein aa jaao

Main tumhari badnaami

Ke saare daag chhupa loon

Mitti ke is shareer se bahut khel chuke

Is khilone rang ab utarne lage hain

Kachche rang utar jaane do

Mausam hai guzar jaane do

Kachche rang utar jaane do

Mausam hai guzar jaane do

Nadi mein itna hai pani sab dhul jayega

Matti ka tila hai yeh ghul jayega

Itni si mitti hai nadiya ko behna hai

Nadiya ko behne do

Sare rang bikhar jaane do

展开